Thursday, December 30, 2010

bhulaya nahi kartay

kabhi apno ko iss tarha bhulaya nahi kartay
apnay zakhm un say u chuphaya nahi kartay

pata nahi zindagi k or kitnay din baaqi hay
u dil may koi baat chupaya nahi kartay

laakh dard ho dil may ruswaai ka
uss dard ko aankho say chupaya nahi kartay

zamana zaalim hota hay
zamanay k zulmo ko bhulaya nahi kartay

iss hijar may bewafa log bastain hay
bewafaao say koi aas lagaya nahi kartay

koi jo tum ko pyaar dain tumhari baat ko asbaat dain
uss ka haat sar-a-bazaar churaya nahi kartay

by zaman farooqi

Saturday, December 25, 2010

tujhay kia khabr

Tujhay kia khabar meray zakhmo ki aaiy zamana--e--dil
Tujhay toh khushio k mehwar nay gehra hoaa hay

hum toh kab ka kar chukay hay kinara dunya say
humain udaasio nay nay gehra hoaa hay
by::::::::::::: zaman farooqi

Wednesday, December 22, 2010

phr bhi zindagi meay saaht hay

ab toh koi na aas hay
ab toh koi na paas hay

phr bhi zindagi meay saaht hay
na koi din khaas hay
na koi dil k paas hay

meri zindagi udhaas hay
phr bhi zindagi meray saaht hay

na koi umang hay
na koi tarang hay
keu yay zindagi bay rang hay

subha anjaan hay
raatain veraan hay
phr bhi zindagi meray saaht hay

MULAQAT APNI ROOH SAY

may nay poucha kon ho tum
uss nay kaha aaatma teri

may nay poucha tu rehti kaha hay
uss nay kaha teray mati k shahreer may

may nay poucha tera kaam kia hay
uss nay kaha teray sang rehyna

may nay poucha k tujhay muj may acha kia lagta hay
uss nay kaha tera shahreer

may nay poucha k tu udhaas kab ho gi
uss nay kaha k jab teray shahreer may na ho gi

may nay kaha k tu chali ja meray shahreer say
uss nay kaha k ek baar rooth kar toh daikh

zaman farooqi

Wednesday, December 15, 2010

kahi say aaj phr teray muskuranay ki awaz aai hay

kahi say aaj phr teray muskuranay ki aawaz aai hay
hawa muskurai hay shama lehraai hay

aankho may aanso k selaab phr say laai hay
zaban nay phr say teray naam ki tasbi duhraai hay

phr subha honay say pahylay raat aai hay
raat may teri yaadoh ki bahaar aai hay

teray badan ki khsubo hawa nay bikhraai hay
kahi say aaj phr teray muskuranay ki awaz aai hay

by;;;;;;;;;;;;; ZAMAN FAROOQI

Friday, December 10, 2010

naazuk se palkain utha kar

naazuk se palkain utha kar
chehray par muskan saja kar

aasbat may sar hala kar
meray jewan may chali aana

teri zulfo ki maang bana kar
apnay pyaar ka rang baasaao

teray jewan may apna pyaar sajaao
tu pyaar say jo kahay mujhay

may wohi geet sunaao
may tujhay apni zindagi ki kahani banaao

Wednesday, December 8, 2010

meri duaao may

meri duaao may baatoh may yaadoh may aaso may pahylay jo aata hay wo naam hay tera
meri neendoh may khwaabo may dil may saanso dharkhta hay wo naa hay tera
meri zindagi ki baharo may khobsurat nazaaro may pahylay jo aata hay wo naam hay tera
by malik zaman farooqi:::::::::::::::::::::::::;