Tuesday, September 28, 2010

mujhya uss ki doli ka rakhwala bana doun

aakhri jhalak koi meray yaar ki muj ko dikhla doun
may uss say kitna pyar karta ho yay baat dunya ko batla doun

phr chahay uss ki doli utha doun
mujhay uss ki doli ka rakhwala bana doun

uss k haatoh par lagi mahndi ka rang muj ko diklha doun
uss ki aankho say koi aansou ka selaab toh hata doun

chahay muj ko maar doun ya latka doun
may uss ka na ho saka koi mout ka sahara dila doun

mujhya uss ki doli ka rakhwala bana doun

apni yaadain bhi saaht lay gai

kiyay wadain wo sab bhol gai
na janay keu wo humain aisay bhol gai

jaanta ho uss k saaht masaaib ki lakeerain hay bay panha
par pyaar ko aisay zamanay may aikala chour gai

kia haq tha uss ko meri zindagi say u chalay janay ka
jo jaatain jaatain apni yaadain bhi saaht lay gai

Wednesday, September 22, 2010

neendo may pyaar ka silsila

neendo may pyaar ka silsila aagaya hay
koi naya chehra nighaao may agaya hay

baatain aisee hay uss ki sonay nahi daiti
pyaar karti hay itna ronay nahi daiti

dunya say muj ko chupana chahti hay
sirf muj say pyaar jatana chahti hay

apni zulfain meray chehray par ghirana chahti hay
apnay labo say meray labo ko milana chahti hay

apni baho may basa kar seenay say lagana chahti hay
seenay say laga kar pyaar bharana chahti hay

neendo may pyaar ka silsila aagaya hay
koi naya chehra nighaao may aagaya hay

Tuesday, September 21, 2010

KOI KARISHMA DKHA

Meray Parwardigaar Koi Krishma Dikha
Ussay Haqeqat Main Nahi Toh Khwaab Main Mila

Ek Hasrat Si Hay Uss Say Milnay Ki
Meri Hasrat Ko Parwardigaar Poura Farma

Dil K Haal Tu Jaanta Hai Parwardigaar
Uss K Dil Ka Haal Sirf Mujhain Suna

Ussay Meray Khwaab Ki Zeenat Bana

Dainay Waali Zaat Teri Hai Parwardigaar
Ussay Meri Zindagi Ka Saathi Bana

Meray Parwardigaar Koi Krishma Dikha

Wo Meri Zindagi Wo Meri Jaan Hain

Wo Meri Zindagi  Wo Meri Jaan Hain
Wo Meri Zindagi Ka Aaraam Hain

Uss Ko Paana Mera Janoon Hai
Wo Meri Zindagi Ka Sakoon Hai

Wo Subha Hain Wo Shaam Hain
Wo Meri Zindagi Ka Aaraam Hain

Wo Khilta Hoaa Gulaab Hain
Uss Ki Khushbo Pana Mera Kaam Hain

Uss Ki Aankho Main Aisa Shabab Hain
Uss Ki Baataoh Main Aisa Kamaal Hain

Uss Ki Mahyfil Main Aisa Ahysaas Hai
Uss Ki Mahyfil Main Baithna Mera Kam Hai

Wo Meri Zindagi Wo Meri Jaan Hain

Tujhain Daikhnay Ko Tarsta Hai Dil

Tujhain Daikhnay Ko Tarsta Hai Dil
Tujhain Paanay K Leyay Dua Karta Hai Dil

Dikhain Na Tumhain Koi Or Yahi Arz Karta Hai Dil
Barhi Mushkilo Say Sambhlta Hai Dil

Teray Pyaar Ka Main Ho Talabgaar
Tera Daaht Rahay Sada Meray Saaht

Teri Taraf Zindagi Ki Baharain Moor Doun
Tu Jo Kahay Toh Chaand Taaray Tour Doun

Teri Maang Main Bharo Apnay Pyaar Ka Rang
Teray Chehrey Ko Main Daikhta Raho Sanam

Teri Muskuraht Main Sunta Raho Sanam
Sada Tera Saaht Main Maangta Raho Sanam

MERI MAA

Meri Maa Sach Main Toh Gulaab See Hai
Jiss Ki Khushbo Say Poura Ghar Mahykta Hai

Meri Maa Chand-E-Mahataab See Hai
Jiss K Honay Say Ghar Main Ujaala Rehyta Hai

Meri Maa Khuda-Wand-Kareem Ka Tohufa Hai
Jiss Ka Koi Moul Nahi

Meri Maa Ki Aagosh Main Bay-Had Sakoon Hai
Meri Maa Ki Louri Main Bay-Had Sarour Hai

Meri Maa K Ghar Main Honay Say Ghar Jannat Sa Lagta Hai
Ghar Ki Sab Khushiya Teray Dam Say Hain Meri Pyari Maa

Tumhain Hum Yaad Kartain Hain

Labo Ki Sar Sarahat Say
Aankho K Band Honay Tak
Tumhain Hum Yaad Kartain Hain
Tumhain Hum Yaad Kartain Hain

Sarapa-E-Noor Ho Tum
Khobsurat Hoor Ho Tum
Zulfain Hain Ghayri Kaali
Teri Aankho Main Kaajal

Teray Honto Ki Surkhi
Teray Gaalo Ki Narmi
Tumhain Hum Kahytain Hain
Malka-E-Hoor Ho Tum

Teray Baarain Main Soch Kar Hum
Tumhain Hum Yaad Kartain Hain
Tumhain Hum Yaad Kartain Hain

Ab Teray Shehr Main Hum Nahi Aaiy Gai

Ab Teray Shehr Main Hum Nahi Aaiy Gai
Ab Teri Baatain Hum Nahi Duhraaiy Gai

Teray Shehr Ki Rangeni Humain Raas Nahi Hai
Hum Hain Saadain Log Humain Pyaas Nahi Hai

Teray Shehr Main Muhabat Aam Nahi Hai
Teray Shehr Ki Boli Main Mithaas Nahi Hai

Teray Naam K Diyay Ab Nahi Jalaaiy Gai
Teri Aas Apnay Rab Say Nahi Lagaaiy Gai

Ab Teray Shehr Main Hum Nahi Aaiy Gai

Meri Aankho Main Aansu Jitnay Bhi Aaiy Gai
Bheegti Aankho Ka Taasur Chehray Par Nahi Laaiy Gai

Ab Teray Shehr Main Hum Nahi Aaiy Gai

Khudgarz Muhabat Main Hum Ho Jaaiy Gai
Koi Humain Chahay Ga Ussay Yay Bataaiy Gai

Teri Muhabat K Fraiab Main Hum Nahi Aaiy Gai
Ab Teray Shehr Main Hum Nahi Aaiy Gai

Uss Ka Jana

Uss Ka Jana Meray Jewan Say
Meri Rooh Ka Jaana Ho Ga

Meray Jeewan Main Kitnay Dard Hain
Ussay Ye Batana Ho Ga

Tujhay Paanay K Leyay Iss Jeewan Main
Kuch Bhi Kar Sakta Hoon

Teray Leyay Jee Sakta Hoon
Teray Leyay Mar Bhi Sakta Hoon

Wo Chehra Chaand Chehra Hai

Wo Chehra Chaand Chehra Hai
Uss K Chehray Par Saja Pholo Ka Sehra Hai

Uss Sehray Main Hay Mera Koi Apna
Jisay Main Nay Tuj Say Duaao Main Maanga Hai

Main Tuj Say Maango Uss Ki Aadatian
Main Tuj Say Maango Uss Ki Naazaktain

Wo Chehra Sab Say Pyara Hai
Jisay Tu Nay Meri Zindagi Main Basaya Hai

Ussay Daikh Kar Mosam Nay Rukh Badal Daala Hai
Wo Meray Saath Chalay Toh Baadlo Nay Apna Pyaar Barsa Daala Hai

Ussay Tu Meray Naseeb Ki Barish Bana Dai
Main Uss Ka Ho Wo Meri Hai
Yay Tu Dunya Ko Bata Dia

Wo Chehra Chaand Chehra Hai
Uss Ki Maang Main Rung Meray Naam Ka Racha Hai
Uss K Chehray Par Saja Pholo Ka Sehra Hai

Teri Masoom Nighaao May

Teri Masoom Nighaao May Bohat Suhanay Khwaab Hay   
Teri Chanchal Adaao May Bohat Khobsurat Ayhsaas Hay

Teray Lahyjay May Jo Mithaas Hay Teri Seerat Ka Jalaal Hay
Teri Surat Ka Kamal Hay Tu Rab-E-Kainaat Ka Khobsurat Shahkaar Hay

Zamana Bhol Jatay Hain

Kabhi Tum Yaad Aati Ho Zamana Bhol Jatay Hain
Tumhay Paa Kar Toh Lagta Hay Zamana Chor Dain Gain Hum

Teri Surat Ko May Nay Zamanay Say Churaya Hai
Teri Seerat Ko May Nay Apnay Dil May Basaya Hai

Main So Jaaou Meethi Neend Toh Sarhanay Aajana
Mujhay Tum Apnay Pyar Ki Nagri May Apnay Sang Lay Jana

Pyar Ki Nagri May Teray Sang Jeena Chaho Ga
Teray Sang Apni Har Khushi Baatna Chaao Ga
Kabhi Tum Yaad Aati Ho Zamana Bhol Jatay Hain

Ab Tanha Ho Main Koi Awaaz Toh Do

Ab Tanha Ho Main Koi Awaaz Toh Do
Meri Tanhaai Mera Saaht Toh Do
Meri Aankho Main Ashk Latadaad Toh Do

Tanhaai Main Dhondta Ho Apna Saaya
Meri Tanhaai Main Mera Koi Apna Na Aaya

Apno Nay Mujhay Aisa Rulayaa
Meri Tanhaai Main Aansoo Ka Sailaab Umad Aaaaya

BAY SHAK

Tu Lagaati Apnay Haatoh Par Meray Naam Ki Mehndi                              5
Par Rab Ko Yay Kaha Manzoor Tha

Tuj Say Muhabat Kari Thi May Nay Bay Shak
Par Iss May Mera Kia Qasoor Tha

Tujhay Banaya Tha Apni Zindagi Bay Shak
Par Kabhi Ye Socha Nahi Tha

Tu Kisse Apnay K Naseeb Ki Baarish Thi
Iss Leyay Teray Kisse Apnay Ko Kosa Nahi Tha

Aankho May Aansou Thay Bay Shak
Tujhay Jaatay Hoaaiy Daikha Kisse Or Ki Zindagi May

Dil Nay Yay Socha
Ab Na Karain Gain Muhabat Iss Zindagi May

Teri Zulfo Ko Itnay Pyaar Say Suljhaao Ga Jaana

Meray Seenay Par Sar Rakh Kar So Jaao Jaana                                                   5
Teri Zulfo Ko Itnay Pyaar Say Suljhaao Ga Jaana

Iss Ahysaas Say Saari Raat Teray Sang Baith Jaaoun Ga
Teri Neendou Ka Taqadus Pamaal Na Ho Jaana

Teri Baatoh Teri Aadaaou Nay Jo Hasaar Kaincha Hai
Main Teray Pyaar K Sehar May Kho Gaya Hon Jaana

Aadhi Raat Jab Teri Aankh Khul Jaaiy Jaana
Tu Barhay Pyaar Say Muj Say Kahay Mujhay Pyaar Karo Jaana

Teray Labou Say Apnay Dil Ki Pyaas Bujhaao Ga
Main Teri Zindagi Ka Aab-E-Hayaat Ban Jaaou Jaana
Teri Aankho Ka Kaajal Ban Jaaou                                                           3
Sonhra Mukhra Hay Kitna Pyaraa

Adaaiy Maarnay Lagi
Zulfain Ghirnay Lagi
Palkain Jhuknay Lagi
Hont Sirknay Lagay
Lafz Bikhrnay Lagay

Aai Naram Se Jo Chehray Par Yay Muskurahat
Dil Yay Kahynay Laga Hay Tu Mera Pyaar

Teri Aankho Ka Kaajal Ban Jaaou

Thandi Thandi Hawa Jo Parhnay Lagi
Sansain Mahknay Lagi Chahat Barhnay Lagi

Tera Pyaar Say U Haat Pakrna
Nei Dunya Say Naata Jurna

Tu Jo Haat Meray Haat Par Rakhnay Lagi
Meri Muhabat Chahat Baihknay Lagi

Teray Pyaar May Apni Shidat Parwaan Charaao Ga
Teray Sang Aisay Pal Guzarna Chaho Ga

Teri Aankho Ka Kaajal Ban Jaaou
Ab Dil Ko Lagana Chour Diya                                                       2
Muhabat May Tarpna Chour Diya

Yaha Baywafa Log Bastain Hay
Iss Leyay Wafa Ko Nibhana Chour Diya

Kartay Thay Kisse Say Pyaar
Ab Haq Jatana Chour Diya

Muhabat Ka Lafz Soona Soona Sa Lagta Hay
Iss Leyay Muhabat Say Rishta Nibhana Chour Diya

Pasand Kartay Thay Khobsurat Logo Ko
Iss Leyay Khobsurat Logo Ki Taraf Daikhna Chour Diya

Sajatain Hay Yaha Log Muhabat Ki Mahyfilain
Ab Un Mahyfilo May Baithna Chour Diya

Iss Dunya K Log Bohat Baywafa Hay
Iss Leyay Iss Dunya K Logo Say Dil Lagana Chour Diya

Farooqi Ko Toh Iss Dunya Ki Muhabat Nay Duba Diya
Iss Leyay Ab Leyhro Ko Chona Chour Diya

MY POETRY.S

Na Kartain Pyaar Toh Yay Haal Na HotA                                               1
Iss Muhabat May Naam Badnaam Na Hota

Yay Dil Kiss Muhabat K Lafz Say Aashna Na Hota
U Kagaz Ki Kashti Par Ilzaam Na Hota

Lakri K Makaano May Aag Ka Istimaal Na Hota
U Dill Ki Nagri May Toufaan Na Hota

U Baadlo K Ronay Par Ilzaam Na Hota
Yay Dil Kia Haal Sar-E-Aam Na Hota
Muhabat May Dil Badnaam Na Hotaa